Ye kissa mere bachpan ke ek dost ka hai. Main Khurja naam ke ek chhote se kasbe mein palaa-badhaa tha, aur wahi par meri Faisal se dosti hui.

Faisal aur main Video Game ki dukaan par milay tthe. Aur mere mohalle mein jo video game arcade tha, wo poore Khurja mein sabse zabardast tha. Shuru shuru mein hum dono ki rivalry hoti thi Tekken ke oopar par. Par phir hum dost ban gaye.
Faisal ek achhi khaasi ameer family se aata tha, lekin wo log kaafi conservative tthe. Haal ye tha ki Faisal apne ghar pe jhooth bolkar video game khelne aata. Uske Abba Dubai mein kaam karte tthe, aur wo apni baaki ki family ke saath Khurja mein rehta tha jahaan unki sunaar ki dukaan thi.
Faisal video game arcade mein aakar game khelta, cigarette peeta aur gappein ladaataa, lekin apne mohalle mein pahunchte hi wo sabse shareef ladkaa ban jaataa. Wajah thi, uske Dada ji ka khauf.
Faisal ke jo Dada ji puraane khayaalo waale insaan tthe. Kum bolte tthe aur apni aapnkho se hi sabko daraa diyaa karte tthe. Main unke kabhi milaa nahi, par Faisal aksar apne Daddu ke kisse bataaya kartaa tha. Dada ji ka favourite kaam tha Faisal ke ghar mein sabko strict discipline mein rakhnaa. Toh agar ghar mein koi late raat tak jaagta tha, ya zor zor se hansta tha, toh achaanak Dada ji ke khaansne ki awaaz aati thi. Aur ye khaansi beemari waali nahi hoti thi, balki iska matlab hota tha ki chup ho jaao aur so jaao.
Toh Faisal batata tha ki jab uske Papa Dubai se aate, toh latest gadgets wagareh saath laate tthe. Toh Faisal aur uska bhai der raat tak, picture dekhte, ya gaane sunte, ki thodi der mein Dada ji ke khaansne ki awaaz kamre ke darwaaze se aa jaati thi. Aur awaaz aane ke saath hi, dono bhai chupchaap sonay bhaag jaate tthe.
Toh us ghar mein Dada ji se zyada Dada ji ki khaansi ka khauf chaltaa tha.
Ye sab baatein Faisal mujhe aksar batata rehtaa ki kaise kal Dada ji ne khaans kar uski Ammi ko ishara kiyaa ki sar dhak lein, wagareh wagareh.
Par ek din, jab main Bunty se baat kar rahaa tha to Faisal ke Daddu ka zikra chhidaa. Aur Bunty ne mujhe bataya ki Faisal ke Daddu ka intekaal kaii saal pehle ho chukaa tha. Aur tab, jab Faisal doodh peetaa bachchaa tha.
Mujhe ye sab samajh nahi aaya, aur maine agle din Faisal ko pakad liyaa. Us se poochhaa ki agar tere Daddu ka intekaal tere doodh peene ki umar mein hi ho gayaa tha to phir tu ye baatein aise kyu sunaata hai jaise kal ki hi baat ho?
Ispar Faisal bola, ki Daddu ka intekaal bhale hi saalo pehle ho gayaa tha, lekin unki khaansi aaj bhi unke ghar mein sunaai deti hai. Phir usne mujhe parso ka kissaa bataya jab Faisal raat ko TV dekh raha tha. Usay apne peechhe se, Dada ji ke khaansne ki awaaz aayi. Aur jaisi aadat uski thi, khaansi sunte hi usne turant TV band kiya aur, “So raha hu Daadu” bolkar seedha goli ki tarah apne room mein bhaag gayaa.
Faisal se milay huay mujhe ek 20 saal se oopar ho chuke hain. Main nahi jaanta ki ab wo Khurja mein hai bhi yaa nahi, par agar wo mujhe phir milaa toh ye zarur poochhunga ki kya uske Daddu abhi bhi uski family ko apne discipline mein rakhte hain?